aaj maa ki baat chali to mere sher to fike pad jayenge munavvar - TopicsExpress



          

aaj maa ki baat chali to mere sher to fike pad jayenge munavvar rana sahab k sher k samne to arz hai maa k liye likhe gaye munavvar rana k sher Labon par uske kabhi baddua nahi hoti bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Is tarah mere gunaahon ko wo dho detihai, maa bahut gusse mein hoti hai to ro detihai Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga, main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai maa dua karti hui khwaab mein aa jaati haia ye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya, maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun maa se is tarah liptun ki bachcha ho jaun munawwar maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti.. By - Munawwar Rana
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 20:21:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015