Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullah Alayh) ∗ Aala - TopicsExpress



          

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullah Alayh) ∗ Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullah Alayh) » Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullah Alayh) ki Wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (1856) Ko Bareli Sharif Uttar Pradesh, British India Me Hui. » 4 Saal Ki Umar Me Quran-e-Paak Nazra Poora Kiya Aapne, Aapne Walid Mufti Naqi Ali Khan Se Talim Hasil Ki. » 6 Saal Ki Umar Me Aap Meelad-e- Rasool Ke Unwan Par Shandar Taqrir Farmayi. » 8 Saal Ki Umar Me Arbi Zaban Me Aapne 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Diya. » 13 Saal 10 Mah Ki Umar Me Aapne Pehla Fatwa Likha. » 55 Se Ziyada Uloom(Subject) Par Taqriban 1000 Kitabe Aapne Likhi. » Quraan-e-Paak Ka Urdu Zaban Me Bahetrin Tarjuma KANZUL EMAAN Aapne Qaum Ko Aata Kiya. » 12 Jildon Par Mushtamil Fatwa Razviya Likh Kar Aapne Fiqh~e~Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam Di. Sari Zindagi Deen Ki Khidmat Aur Ishq-e- Mustafa Ki Daulat Taqsim Karne Me Aap Lage Rahe. » Duniya Ke Bade Bade Ulma Aur Fuqha Ne Aap Ko Mujaddid Tasleem Kiya. » Aap Ke Natiya Kalam Ki Sari Duniya Me Dhoom Hai. » Kayi University Me Aap Par Research Ho Rahi Hai. » Aap Ka Wisal 25 Safar (1921) Ko Azaane Jumma Ke Dauran Huwah. Ref : Hayat-e-Mubarak Aa’la Hazrat Ulma-E-Ahle Sunnat Mujaddi-e-Dino Millat Imaam Ahmad Raza Khan Ki Hayat-e-Mubarak Page No:13 » Aala Hazrat Ne Quran-e-Paak: Ka Tarzuma 1911 Me “Kanzul Emaan” Naam se Kiya, Aapne Maulana Amzad Ali Azmi ki Gujarish Par Yeh Tarzuma Kiya Tha. » Aala Hazrat Ka Likha Huwah Pyara “SALAM” “MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAKHO SALAM” Woh “SALAM” Hai Jo Duniya Me “AAZAN” Ke Baad Sabse Ziyada Padha Jaata Hai. » Farman-e-Sayyedi Aala Hazrat (Rahmatullah Alayh) Sachhe Emaan Ke Liye 2 Baat Jaroori Hai 1. Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Muhabbat 2. Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ta’azim » 6 Saal Ki Chhoti Si Umr Me Syyedi Sarkar Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan (Rahmatullah Alayh) Ne Maloom Kar Liya Tha Ki Bagdad Shareef Kidhar Hai, Jab Se Unhe Pata Chala Aap Ne Aakhiri Dam Tak Uss Taraf Kabhi Bhi Apne Pair Nahi Kiye. -: (Sawaneh Aala Hazrat- Page No-34 ) » Syyedi Sarkar Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Faziley Bareilvi (Rahmatullah Alayh) Hizri 1292 (1877) Me Apne Murshid-e-Barhaq, Maulana Syyed Aale Rasool Ahmedi (Rahmatullah Alayh) Se Silsila Aaliya, Qadriya, Barkatia Me Baiayat Huye. -: (Sawaneh Aala Hazrat, Page No-36) » Aala Hazrat (Rahmatullah Alayh) Ne 4 Saal Ki Umr Me Quran Shareef Naazra Poora Kiya, 6 Saal Ki Umr Me 12 Rabi- Ul-Awwal Ki Taqreeb Me Mibar Par Bahut Mazme Ke Saamne Meelad Shareef Parha. Mirza Ghulam Qadir Baig (Rahmatullah Alayh) Se Meezan Aur Munshab Ki Taleem Hasil Ki. Apne Waalid-E-Maajid Taj-Ul-Ulema Shaah Molana Naki Ali Khan (Rahmatullah Alayh) Se Bhi Padhayi Ki Aur 13 Saal 10 Maah 5 Din Ki Umr Me 14 Shaban 1286 Hizri (19 November 1869) Ko Dastaar-e-Fazilat Se Nawaze Gaye.
Posted on: Mon, 02 Sep 2013 17:19:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015