Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam - TopicsExpress



          

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan parda utha to saara tamasha badal gaya hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay baaton main apni baat ko kaisay badal gaya kehne ko ik sehan main deewar hi bani ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who manzil kay paas aake jo rusta badal gaya qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye woh muskuraya or meri dunya badal gaya apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya
Posted on: Sat, 28 Sep 2013 03:55:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015