Hiqayat-(Part 38) : Nabi Saleh (Alaihay Salam) . » Bismillah Hir - TopicsExpress



          

Hiqayat-(Part 38) : Nabi Saleh (Alaihay Salam) . » Bismillah Hir Rahemanir Rahim « . Lekin Jab Saaleh (Alaihay Salam) Unhe Baar Baar Haq KiDaawat Dete Rahe To Unki Qoum Ke Sardaaro Ne Kahaa,“Ham Tujhe Jhutha Samajhte Hai, Agar Tu Sahi Me Apne Rab Ka Bheja Huwaa Rasool Hai To Apne Rab Ke Paas Se Koi Moazza (Nishaani) Le Kar Aa. Nahi To Ham Tujh Par AurTeri Baato Par Imaan Nahi Laane Wale”. Dosto Har Rasool Se Unki Qoum Ke Kaafir Sardaar Kisi Na Kisi Mouazze (Rab Ki Nishaani) Ki Maang Karte Hi Rahe Hai. Lekin Jab Uss QoumMe Bheje Gaye Rasool Ki Duwaa Se Allah Ta’ala Koi Nishani Bhej Deta To Nishaani Dekh Lene Ke Baad Bhi Woh Log Imaan Na Laate Aur Apne Kufar Pe Qaayem Rahte. Lekin Allah Ta’ala Ki Sunnat (Tarika) Ye Hai Ki Pahele To Woh Apne Bando Ko Apne Nabi Aur Rasool Ke Zariye Samjhata Hai, Aur Fir Kaafiro Ke Mataalbe (Maang) Ke Mutaabiq Apni Nishaaniya Bhi Zaahir Karta Hai Aur Uss Nishaani Ko Dekh Lene Ke Baad Bhi Agar Kaafir Imaan Na Laaye To Unhe BadaSakhat Azaab Deta Hai . Saaleh (Alaihay Salam) Ki Qoum Ke Kaafir Sardaaro Ne Unse Kahaa, “Hamaari Aankho Ke Saamne Us Pahaadi Se Ek Uootni (FemaleCamel) Nikal Aaye AurHamaari Hi Aankho Ke SaamneWo Uootni Bachcha Paida Kare”. Saaleh (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki,Usi Waqt Wo Pahaadi Fat Gayee Aur Us Me Se Ek Bahut Badi Uootni Jo Aam Uoonto (Camel) Ke Muqaable Bahut Badi Thi Nikal Aayee Aur Us Ne Thodi Der Ke Baad Un Kaafir Sardaaro Ke Saamne Hi Ek Bachchi (Uootni) Ko Paida Kiya. Saaleh (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Ye Allah Ta’ala KiUootni Hai Aaj Se Tumhaare Sab Jaanwar Aur Iss Uootni Ke Paani Pine Ka Din Muqarrar Hai, Ek Din Tumhaare Sab Jaanwar Aur Ek Din Ye Uootni Paani Piyegi.Aur Ise Chhod Do Ki Jahaa Chaahe Ghume Feere Aur Jahaa Se Chaahe Chaara (Graas) Khaaye, Aur Khabardaar Koi Isko Buri Niyat Se Haath Na Lagaaye Aur Naa Hi Isko Koi Nuksaan Pahoochaaye,Warna Tum KoAllah Ta’ala Ka Azaab Aa Ghere Ga”.’ . Continue next part....
Posted on: Fri, 23 Aug 2013 05:49:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015