Summary of Baba Jis Blessings (24-Jan-15, 48th Maharashtra - TopicsExpress



          

Summary of Baba Jis Blessings (24-Jan-15, 48th Maharashtra Samagam, Day-2) Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) Maharashtra ke Samagam ke iss doosre din bhi kal ki tarah hi ek sunder vaatavaran bana hua hai jahaan sabhi sunder bhaavnao se yukt aise paropkar ki moheem mein apne aapko shaamil kiye hue hain jahaan par un pehluon ki taraf dhyan dilaya ja raha hai jo hamaare jeevan ke liye bahut mahetvpoorn hain. Yugo-yugo se aise yogdaan diye gaye hain, koi bhi sadi ya yug hoh, taaki insaan ubhar sake, insaan unchayiyon ko prapt kar sake, janmo-janmo se jo aatma agyanta ke andhkar mein padi hui hai, isse nijaat pradaan ho har kisi ko, isliye ye paropkar Bhaktjan karte chale jaate hain. 2) Insaan ki aatma hi nahi, mann bhi andhkaar mein hai jo usko asli pehchaan se vanchit kar raha hai. Ye jo janm hamein prpat hua, God made man in His own image, toh Ishwar Allah Nirankar ne ye swaroop banaya par agyanta ke kaaran isne apni pehchan kuch aur bana li hai. Saints & Sages isi andhkar ko door karte hain, True Knowledge pradaan karke savera le aaate hain. Jaise surye uday ho jaata hai toh ujaala ho jaata hai, isi tarah jab Gyan roopi sooraj ka udey hota hai jeevan mein, tabhi roshni aati hai. 3) Human Birth is considered a golden opportunity else there are circles of births and re-births, otherwise we have insticts similar to the ones that animals have. We and they, both feel hungry, both get scared, but this is a golden opportunity to nourish and beautify our soul. Today we are working and talking about to get the human kind free from pain. In various Samagams, team of Doctors have been coming and they are doing selfless service. It is a noble cause and they are making people free from pain and making them happy. This sort of compassion we have to have in our hearts, not for those who we think are ours, but for the whole mankind. 4) In todays Sewadal Rally, sewadal volunteers were represented in various forms. They are not full time workers of the Mission, they are volunteers who have their own businesses and working in service sectors at high positions. They are doing their jobs selflessly, knowing that it is their duty as they have certain responsibilities towards mankind. 5) Insaan ka jo wajood hai, vo hai ek doosre ke liye jeene ke liye. Dard e dil ke vaaste paida kiya insaan ko. Varna toh Maalik ke paas farishton ki kami na thi. Insaan ko paida kiya ki vo ek doosre ki peeda har sake, insaan ke vajood ki mahetta hai. Apne liye jeena koi jeena nahi hua karta hai. 6) Last year Nirankari Charitable foundation organized Run for Oneness for Unity in Diversity where i quoted a quote written by a thinker that by participation in such drives, may be we get tired and our mouth, throat, lungss may feel thurst, but that thurst or pain may go away in few minutes or pain in legs in a week or so but the glory and satisfaction of participation forever remains. Insaan agar bhalaayi mein yogdaan nahi de sakta hai toh kam se kam burai karne se toh baaj aa jaaye, jis raaste pe chalne se nuksaan ho raha hai, uss raaste ko chhor do aur apne aapko sambhaal lo. Kabhi-kabhi khamosh rehna bhi bhalaayi ka kaaran ban jaata hai. Hinsa aur burayi waali bhaawna ki taraf khamosh hona bhi sakoon laane waala ho jaata hai. 7) Aaj basant panchami ka bhi avsar hai jisko hum Spring Time kehte hain, basant ritu ka fetival manaaya jaata hahi. Santjan bhi Maalik se naata jodkar rakhte hain. Tum ho agar jeevan mein toh BASANT hai, agar Tum nahin to Bas Ant hai. Tum ho toh phir basant hai, patjhad waala mausam nahi hai, aur agar Tum nahi ho toh phir jeevan bhi jeevan nahi hai. Jeevan mein basant bhi tumse naata jodne ke kaaran hi hai. Jeevan mein aisi hariyaali aa jaye ki jeevan hi basant ban jaaye. 8) Today children demonstrated the importance of Harmony in Oneness. Iss Harmony, Ekatv aur Sadbhaav ko sthapit karne ke liye Sant yatansheel hain aur yogdaan de rahe hain. Bhakt Peer Paigambron ne kaha hai ki aise yogdaan dene waale hi dharti ke liye vardaan hote hain. Vo hi sansaar ka andhakaar door karne ke liye aasha ki kiran bante hain. 9) Ek deepak jal raha ho toh uska apna diameter hai, ek particular radius tak uski roshni jayega. Ab dheere-dheere agar deepak badte jaayein toh ujaale ka daayra bhi badta jaata hai aur andhkaar ka daayra kam ho jaata hai. Isi prakaar se ujaale waalon ki bochhar agar ho jaaye toh ye dharti jannat aur swarg ban jaaye. Aisi hi den mahatma dete aaye hain aur aaj bhi de rahe hain, varna toh insaan ke jeevan ki koi keemat hi nahi hai, insaan phir bekadra hokar masoom jaano ko bhi nahi chhorta hai. Yahi praarthna hai ki har bujha hua deepak jag jaaye aur duniya mein roshni hi dekhne ko mile. 10) Insaan doosro ko neecha karke dekhna chhor de, girawat waali soch ko taj de, aise jeevan ke paimaane banein jinme bhed na ho. Kisi ne ek saas se poocha ki bahu kaisi hai, toh kaha ki vo nikkami hai, saare hi kaam mere bete se karwaati hai. Usne phir poocha ki damaad kaisa hai, toh saas ne kaha ki damaad toh heera hai, saare kaam khud karta hai, beti ko haath nahi lagaane deta. Toh Pati kaam toh dono taraf vahi kar raha hi, idhar beta hai aur udhar damaad hai, par idhar vo nikkami hai aur udhar vo sayaana hai, toh kaise paimaane badal rahe hain. 11) Jo sandesh aaj diye gaye, vo apnaane yogye hain, ye precious pearls hain.Ye heere hain, ye apnaane laayak hai, isse apnne jeevan ko hum saja sakte hain, labhaanvit kar sakte hain. Vastron aur pehraavo mein vahi dhaaga laga hua hai. Vahi sona(gold) hota hai aur usse hum zevar banaate hain. Toh basically sone ka mahetv hai, jewellers sone ko bhatti mein daalkar uska aakaar khatam karte hain phir bhi vo sona rehta hai. Isi prakaar hum basically insaan hhi hain, phir vo punjabi, ye marathi, vo pagdi, ye topi, inn sab bhaavon ko uss bhatti mein daalna zaroori hai kyunki baahar ki pehchaano se zyada mahetv hai uss vajood ka jo ek Prabhu ki santaan hone ka hai. 12) Toh ek hi dhaga hai, ek hi lakdi hai, jisse hum table chair ityaadi bana dete hain. Topi ya Pagdi ek pehchaan hai, jo mubaarak hai, zaroori bhi hai, par hamein vo ehsaas rahe ki table ya chair ki form alag hai par basically vo lakdi hai. Mool roop mein toh sabhi aatma Parmatma ki ansh hai aur hum sab paanch tatv ke putle hain. Sab mein Ishwar Parmatma aur Akaal Purakh hai. Jaise kumhaar aneko bartan banaata hai, lekin matti aur kumhaar vahi hai, usi se bartan, ghada aur gaaghar bana raha hai. Toh Oneness par kendrit hona zaroori hai, phir Harmony sthapit hogi aur sabka laabh hoga, dharti ka roop sunder hoga. 13) Yahi ardaas ki Dataar kirpa kare ki jaise kal aur aaj bharpoor anandmayi vatavaran bana raha, jo aapke dwara maryaada aur discipline ka paalan karne ke kaaran hai, isi tarah baaki samay mein bhi ye vaatavaran banaye rakhein aur sabhi anand lete jaayein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Sun, 25 Jan 2015 18:20:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015