abdul muqeet razi 1 Han inqibal brpa ho jate hen jb zulm hd - TopicsExpress



          

abdul muqeet razi 1 Han inqibal brpa ho jate hen jb zulm hd se brh jate hen Ho jae khuah kitni hi bulnd bunyad ho kmjor gir jati hen Nahmwarian peda ho jati hen Taqt k tawazun bigr jate hen Sirf kuch log phl phul jate hen Aksariat kmzor hote jate hen Khule rehna tha qudrt k khzane Logon k qbze me chle jate hen Khuab ankho me tut jate hen Apne parae sath chor jate hen Bani adam ko rehna tha ek Afros dst o gireban ho jate hen Bnte sb ek dusre k muhafiz magr Durson ki zillt pr tskin pate hen Ab abro ka tahaffuz ke mushkil Insan hewan se bdtr ho jate hen Jism faroshi ek sant bn jati he Zindagi mot mazaq bn jati hen Shb o roz hen k guzre jate hen Drasl hm sb wahin ruk jate hen Mehnat ka ab kuch sila nahi Mehrum mjbur brhte jate hen Rahe farar gum ho jate hen Ghulami k toq pehnae jate hen Insan Barae frokht ho jate hen Kuch b krne k liye nazr ate hen Sb tbqon me bate jate hen Ise khuda ka hukum batate hen Mustqbil andhere me jate hen Mulla qismt ka sabq prhate hen Surj ab en sr pr a jate hen Sae jane kahan chle jate hen Ptte sb sukh kr jhr jate hen Khetian jhuls kr reh jati hen Ah ye kese baghat hen yaro Jise k phl sb kha nahi pate hen Hr zamin hoti nahi he zrkhez Inqalab jld kbhi der se ate hen Sb ek dusre ko take jate hen Kuch qarib or qarib ho jate hen Zindagi ki navid peda hoti he Jb pegham e hq sunae jate hen Mazil dur sahi ab nazr to ati he Dusron ka sahara bn jate hen Ye roz roz mrne se behtr he Ek bar hi hm fesla kr jate hen Haton me dalten hen hath sb Chlo ek sath hi uth jate hen Kuchle hue tbqe ubhr ate hen Lrkhrate kbhi fana ho jate hen Duswar ghtion pr chrh jati hen Khud tarashe but tute jate hen Zamini khuda jhuk jate hen Zulm k andhere mit jate hen Nadim guthno pr khre hote hen Srksh shknjon me phns jate hen Srmayadar jan bachate hen Mzhbi peshwa rng badlte hen Kushada raste tng ho jate hen Hakin apni taqt or brhate hen Ab aya he imtihan tumhara Sans halq me atk jate hen Wada he kamiab tum raho ge q k insaniat k liye lr jate hen Jng k badl ab cht jate hen Awam zamin k waris bn jate hen Jaraim k asbab khtm ho jate hen Rehmt k drwaze khul jate hen Ab qtl e am se gurez he krna Sb amn k sae me a jate hen Jngen to nizamon k drmian hen Intiqam k jzbe srd pr jate hen Ab riasaten dolt se nahi chltin Insaniat k sikka raij kr jate hen Tanazat sb khtm ho jate hen Insan ek maqam pr a jate hen Dunya ko do pegham salamti ka Nizame rububiat pr jhuk jate hen Agr hen mzbut tumhare irade Wo qomen bulnd ho jati hen Ab dekhni he prwaz tumhari Kitni quwt e bazu dikhate hen Sitaron se jate ho tum or age Ya zamin ki psti me gir gate hen Aql k khulte hen un hi pr asrar Uthte bethte jo ghor kr pate hen Asman zer e qadm a jate hen Kainat k jigr chak ho jate hen Zamane k tabe hote nahi wo Apna jahan khud banate hen Qudrt k karkhane me reh jae Farishton se tkmil karate hen Irtaqai mnzilen te kr jate hen Mn ki dunya me safr kr jate hen Jo chaho khuda k dakhl nahi Han aml k nataij us k ate hen Jo jiten mrte hen oron k liye Khudi unki prwan chr jati hen Mot se khatma mumkin nahi Sirf jsd e khki fana ho jate hen Tum nahi ho is jahan k liye ye tumhare liye banae jate hen 2 Qyamt se pehle b ik qyamt he Jb awam ek sath uth jate hen Wo ghri akhir a kr hi rehti he Jb aml k sb nataij a jate hen Wo ek zor ki awaz hoti he Andruni beruni hmle hote hen Wqt k sath jo khndr reh jate hen Kudrti afat kbhi b mita jate hen Azab opr ya niche se ate hen tbqe ashrafia se bhir jate hen zillt ka he ek ye b mshhur tariq firqon me bt kr lr mr jate hen Pthron ki barish hoti he kese Dushmn srhado pr a jate hen Rnj o alm roz brhte jate hen Ye kbhi frba ho nahi pate hen Chikhte hen or chillate hen Yahan se nikal nahi pate hen Jb zamin shiddt se larzti he Awam zulm se ajiz a jate hen Jo andr he sb bahr a jata he Ab fesla kun lmhen a jate hen or sur phukne k waqt ate hen Yani Jng k bagl bajae jate hen Gndhk k libas pehente hen Holnak Htyar atish uglte hen Pehle asman ondhe girte hen Khudsakhta nizam kb rehte hen Surj b jl kr gul ho jate hen Almgiri istbdad bikhr jate hen Chand kahin gum ho jate hen Ilaqai hukmiran mit jate hen Pahar zamin pr gir jate hen Awam khuas ek ho jate hen Qaruni khzane zamin niglti he srmayadaron pr chrh jate hen In drkhto me jhukao hi nahi Is k phl kahan sb ko milte hen Jis kheti me sb ka hissa nahi Wahan ag k shole lipt jate hen Ab kehte hen k srmaya le lo Kya ese din wapis a jate hen Mila he is kainat me sb muft To q rehmt k tukre kr jate hen Apne ghr to sone or chandi k Ese kbhi insan ek ho pate hen Ye aag tum ne khud lagai he Jis ka indhn insan batate hen Awam azadi k liye kuch kr lete Hukmiran ab ilzam lagate hen Jb khal se khal bdli jati hen Nsl dr nsl ghulam rehten hen Khna mushkil pina dushwar Zillt ki rotian gale pr jati hen Orten dida zeb banai jati hen Hire jawahirat me ladi jati hen Olad ko bhuk k dr se marna Anjane khof me jkre jate hen Samjhte ho qtl sirf tibi hote hen Zindagi k johr dabae jate hen Adam kis shjr k qarib jate hen Shkhon me tqsim ho jate hen Setan koi taqt nahi Khuda k age Insani jzbat srksh ho jate hen Iblis ki kya haqiqt he is k siwa Insan sb kr k mayus ho jate hen 3 Han qomen zinda ho jati hen Is me so so bars b lg jate hen Shehr jo chton pr gir pare the Apne peron pr khre ho jate hen Jese barish k pani barsne pr Ret k zrre shdab ho jate hen Rng o nur hr trf phel jate hen Sehra me b phul ug ate hen Or jb kshti e Nuh ruk jate he Adware no k aghaz ho jate hen Qomen kese zinda ho jati hen Ibrahim parindo ko sudhate hen Qatl k hukum sadir hote hen Chshme baghat chor jate hen Ismail qurbani e azim dete hen Olad sehre me abad kr jate hen Almi tanazat k kiye dono mil kr Kaba ki diwaren utha jate hen Yaqub raste hmvar kr jate hen Samaji husun qaim kr pate hen Yusuf qeht sali se bachate hen Tasadum k bagher inqlab ate hen Musa qibla ghron ko banate hen Or riast me riast bana jate hen Hakim azim mubahise karate hen Danishwar rabubiat pr jhukte hen Taqt ka koi tawazun hi nahi he Musa lrne se gurez kr jate hen Brson sina me guzrte jate hen Johr e shmshir ab khul jate hen Shehr akhir fath ho jate hen Qawanin apni tkmil pr ate hen Jahan se chaho ab khao pio Zati mlkiat k khatme ho jate hen Ab rehna isi rawish pr qaim zalim ise maqam se hatate hen Daud jine ki umng jagate hen Insani huquq mehfuz kr jate hen Ek kare ninyanwe ka istehsal suleman srmayadari mitate hen Funun e latifa se uthate hen prde Ese shahkar tkhliq kr jate hen Isa murde jlate nazr ate hen Apna maqam bulnd kr jate hen Tum jama krte ho hm jante hen Badsha ye nizam waza krte hen Chu lo tum agr chaho asman Ek esi prwaz hm ata kr jate hen Muashiat k nqais pr lagate nishan jo dekhte nahi to dekha dete hen Kaha kon de ga ab mere sath Bulnd kirdar afrad hath uthate hen Jo agr qaim ho rabubiat alamini Khuan asman se nazil ho jate hen Nahi he shkhsiat ka ab zamaya Ao ek dusre ko zinda kr jate hen Q he tumhare drmian tasadum Saiyare dairon me chle jate hen Insaniat ko ik hi mnzil pr ana he Surj b mrkz pr khiche jate hen 4 Han jnnten zamin pr bn jati hen Amn k piambr awaz uthate hen Zamin o asman badl jate hen Khune jigr se inqalab a jate hen Nur e rb se sb roshn ho jate hen Irtaqai manazil te pa jate hen Wo tumhari ankho ki thndk he Mumlikt ka tasvvur kiye jate hen Kese bataen k us jesi koi nahi Hm tumhen tmsil me batate hen Rizq k srchshme jari sari hen Zati mlkiat me johrd bn jate hen Adam jahan se chaho khao pio Musa ye dunya me kr jate hen Huren bs bulndi e afkar o kirdar Hawari Isa ka sath de jate hen Yaqinn yahan k phl daimi hen Khof o huzun beniaz ho jate hen Araish o zebaish k kya jlwe hen Kon he zint ko haram kr jate hen Yahan sone chandi k brtn hen Ah insan b is se trsae jate hen Hire jawahirat pehnae jate hen Kirdar yaqut mrjan bnae jate hen Q kr li he dhrti apne hi opr tng Rehne k liye mehl banae jate hen Ziafaton ki mehfilen hen hr janib Jame seht forn jhpt liye jate hen Srmae ka koi yahan wajud nahi Sb nekion me sbqt liye jate hen Yahan jan leve dor dhup nahi Sb badlon k sae me a jate hen Ek sath bethe nazr ate hen Kina bugz nikal diye jate hen Tumhare iradon ki tkmil k liye Malaik sf bandhe a jate hen Jamud k khatme ho jate hen Hazar brs safr din k reh jate hen Insani jan ki qimt kya bataen Ise insaniat ka qatl keh jat hen Jis se ruk jae safr zindagani ka Bila takhir ise haram kr jate hen Berahwari ki mnzil he tnhai Apna shrik e sfr chun jate hen Asmt ki sb krte hen apnni hifazt Jo kia ahd usi ko nibha jate hen Ek dusre se sukun pate hen Pak jore jhi yahan reh pate hen Is mumlikt ka hasil he salamti Sb salam salam kiye jate hen
Posted on: Sun, 17 Nov 2013 20:58:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015