I know its big bu must read. Taaziya Daari, Dhol taase, - TopicsExpress



          

I know its big bu must read. Taaziya Daari, Dhol taase, Naach Gaane, Alam, Sawaari, Mehndi, wagaira Kya Jaaiz hai??? Aala Hazrat Imam Ahmad Raza khan AlaihiRehmah ka Fatwa 1. Alam, Taziya, Sawari, Mehandi Wagaira Jaise Tareeqe Jaari Karna Bidat hai aur is Se Islaam Ki Shaan Badti Nahin Hai. Taziya Ko Hajat Ko Poora Karne Wala Maanna Jahaalat Hai Iss Ki Mannat Bewaqoofi Hai Aur Na Karne Me Nuksaan Janna Vaham Hai. Musalmaan Ko Aisi Harkat Se Bachna Chahiye. -: (Risala Moharram Va Tajiyadari 59 Sakah) 2. Taziya Aata Dekh Kar Nazaren Ferlen, Uski Taraf Dekhna Hi Nahi Chahiye. -: (Irfan-E-Sharia t Part 1 Pg 15) 3. Kuch Utaara Baaqi Toda Aur sab Dafan Kar Diye, Ye Har Saal Maal Ki Barbaad Karne Ke Jurm Me Do Gunah Judagaana Hai, Taziyadari Iss Galat Tareeqe Ka Naam Hai, Bilkul Bidat Wa Najayez Wa Haram Hai” -: (Kitab Tajiyadari Page 4) 4. “Taaziye Par Chadha Khana Na Khana Chahiye, Agar Niyaz Dekar Chadhayen, Ya Chadhakar Niyaz Den Toh Bhi Uske Khane Se Parhez Karen” -: (Kitab Tajiyadari Page 11) Sawaal: Taziya Banana Aur Us Par Nazar Wa Niyaz Karna, Zaruraten Poori Hone Ki Ummeed Me Mannate Latkana Aur Acchi Biddaton Ki Niyat Se Use Bhalai Janna Kaisa Gunah Hai? Jawab: Ye Saare Kaam Jis Tarah Logon Me Aaj Ke Zamane Me Mashhoor Hain, Biddaten Aur Haram Wa Najayez Hain. Isi Tarah Muharram Ki Dusri Bidat Marsiya Padhne Ke Baare Me “Irfan-E-Sharia t” Ke Pehle Part Page Par Ek Sawal Wa Jawab Yah Hai, -: (Irfan-E-Sharia t Page 15 16) Sawaal: Muharram Shareef Me Marsiya Padhne Me Shirqat Jaiz Hai Ya Nahi?? Jawab: Najayez Hai, Wo Gunahon Se Bhare Hote Hain. “Muharram Me Siyah Ya Sabz Kapde Gham Ki Nishani Hai Aur Gham Haraam Hai” -: (Ahkam Shariat 171) Masla : 1. Kuch Ahle Sunnat Wal Jamat Muharram Ke Dinon Me Na Toh Din Bhar Roti Pakaate Hain Na Jhaadu Dete Hain, Kahte Hain Dafan Karne Ke Baad Pakaayi Jayegi. 2. Inn 10 Dinon Me Kapde Nahi Utaarte. 3. Maahe Muharram Me Koi Shaadi-Biyah Nahi Karte. Jawab : “Teeno Baatein Gham Hain, Aur Gham Haraam Hai” -: (Ahkam Shariat Part 1 Pg 171) Masla : Muharram Me Taziya Dari Karna Seena Pitna Kaisa Hai? Jawaab : Taziya Dari Wa Seena pitna Maatam Haraam. Wallahu Taala Ilma Fatawa Ridwiya J24 P141 “Taziya Dekhna Bhi Jaiz Nahi” (Fatawa Ridwiya Jild 24 Page143) Al-Quran-e-Kari m “Aur Haq Ko Batil Ke Saath Na Milao Aur Sachi Baat Ko Jaan Bujh Kar Na Chupao.” -: (Surah : Al-Baqara A:42) (Sdi Suffah Zone) Haq Baat: “Taziya Nikalna, Dhol Bajana Ye Bura Tariqa Hai Lihaza Har Ek Musalmaan In se Dur Rahe” admin 09
Posted on: Thu, 31 Oct 2013 08:34:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015