Macca mukarima per hamla aur kaaba ki be hurmati : Zahbi kehte - TopicsExpress



          

Macca mukarima per hamla aur kaaba ki be hurmati : Zahbi kehte hai ki jab yazeed ne ahle madina ke yeh sab maamla kiya (in ke ghar baar aur izzat loota) aur sharab w deegar munkirat ( manayi wale amal) ka ti woh pehle se hi aadi thaa.is surte haal se macca ke log us se behad badzan hogaye aur charo taraf us ke khilaf awaz buland hone lagi aur log us ke khilaf uth khade huwe.(madina taiyaba ki be hurmati aur barbadi bardasht nahi huwi) chunacha madina munawara ki qatal w gari ke us ne apna laskar ibn e zubair radiyallahu anha se jung karne macca bhej diya raste main laskhar ka sippa salar mar gaya.yazeed ne foran dusra oppoint ( namzad) kar diya jab yeh lashkar yadeedi macca mouzama main dakhil huwa tu ne hadrat abdullah ibn e zubair radiyallahu anha ko gher liya jaha tak ban pada hadrat ibn e zubair ne bhi is lashkar ka mukabla kiya chuki aap nazarband they is liya aap per phather barsaye gaye..in phatharo ki chingari se kaaba sharif ka perda jal gaya kaaba ki chat aur us ka dumbe ki sing jo hadrat ismaiel alehe salam ke badle jannat se bheja gaya thaa woh kaaba ki chat per aweeza thaa sab kuch jal gaya.isi waqia ko hurra kehte hai.
Posted on: Thu, 21 Nov 2013 02:52:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015