¤¤¤SAJDA SIRF ALLAH KA HAQ HAI¤¤¤ 1.Ayesha(Razi Allahu - TopicsExpress



          

¤¤¤SAJDA SIRF ALLAH KA HAQ HAI¤¤¤ 1.Ayesha(Razi Allahu Anha)ne farmaya k Allah ke Rasool(sallalla hu alaihi wasallam) MUHAJIREEN O ANSARme baithe the ke Ek Oont Aya phr usne Ap(sallallahu alaihi wasallam) ko SAJDA kiya. To SAHABA kehne lage Aye Allah ke Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ! Apko SAJDA karte hai JANWAR aur DARAKHT, to hum ko to zaroor chahye ke Apko SAJDA karen. To Ap(Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya “BANDAGI KARO APNE RAB KI, TAZEEM KARO APNE BHAI KI” (MUSNAD AHMED, MISHKAT) Yani, INSAN apas me Sab Bhai hai, Jo Bada Buzrug ho wo BADA BHAI hai, to uski BADE BHAI ki tarah TAZEEM kijye, aur MAALIK SABKA ALLAH hai Usiki BANDAGI kijye. 2. Qais Bin Sa’d (Razi Allahu Anhu) farmate hai Mai ek Shahar jiska Naam HEERAH tha gaya. To Maine wahan ke Logo ko apne RAJA ko SAJDA karte hue dekha. To Maine Kaha Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ziada HAQ DAAR hain k unko SAJDA kiya jaye. Phir mai Allah ke Rasool Sallallahu alaihi wasallam ke paas aya. Phir Maine kaha, Mai HEERAH gaya tha, to Maine un logo ko dekha k wo Apne RAJA ko SAJDA karte hai. To Ap(Sallallahu alaihi wasallam) ziada HAQ DAAR hai k hum Apko SAJDA karen. To AP (Sallallahu alaihi wasallam) ne mujhse farmaya “Bhala khayal to kar jo Tu MERI QABAR par se Guzre to Kya SAJDA karega usko. “ Mai ne kaha: “NAHI” Ap(Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya “To mat karo(yani SAJDA to usi Zaate paak ko hai jo hamesha se hai,aur hamesha rahega.) (ABU DAWOOD , MISHKAT) Is Hadise paak se pata chala k SAJDA na kabhi ZINDA ko kijye na kisi MURDEko kijye, Na Kisi QABAR ko kijye, Kyu k Jo Zinda hai wo ek Din Marne wala hai aur jo Margaya wo Kabhi Zinda tha. Zinda tha to bhi BANDA tha, Maut k baad bhi BANDA hi hai. SAJDA TO RABBE KAYNAAT KA HAQ hai. Mere bhayyo, jis kaam se pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne Mana kiya hai k wo Kaam Apke sath hum na karen, to hum wo kaam AULIYA ALLAH, or BUZRUGAANE DEEN ke sath kaise karsakte hain?? Jo kaam Aaqa sallallahu alaihi wasallam ko NAPASAND tha us kaam se to AULIYA ALLAH bhi Nafrat karte hain?? Allah ki Ibadat me kisi ko hissa dena SHIRK hai Hame khud bhi isse bachna hoga, aur hamare bhayyo ko bhi bachaen. Allah ke Ilawa Qabar ko ya Kisi Insaan ko Sajda karna Shirk o Kufr hai. Allah Ta’ala Hame Shirk o Bid’aat se bachayen. Ameen. abrar
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 06:58:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015